Kyunki ye mere ghar ki nahi hai😅 main bhi ugata hoon kaafi veggies par ye kisi ke private lawn ki photo hai.
Maine bahut baar koshish ki par ye gobhi ke beej sprout hi nahi ho rahe pata nahi kyun.
Bhai dekhe videos. Sab simple process hi batate hain, main pichhle 2 mahine mein I guess 4 baar try kar chuka hoon, Gobhi aur pumpkin sath hi boye the, pumpkin par flowering bhi hogai aur ye germinate tak nahi huye.
Ye sach mein helpful hoga bhai.
Waise aap unse puchhoge to aapko pata hona chahiye Main apna potting mix 30% cocopeat, 30% farm soil, 30% gobar compost, aur 10% rait se banata hoon. Aur ye hi same mix seeds ke liye bhi use karta hoon.
Bhai mere Goan me ye mixing nahi chalta waha ka soil kafi upjau hai bas gobar ka khaad daalte hai wo bhi mitti me mix kar ke andaje se. Baki ka bataunga actually phone pe information thik se Goan wale nahi de pate hai, face to face me pata chal payega
Sir gaon mein kisi ke bhi mixing nahi chalta. Jab ugaane ke liye puri jameen ho toh ye mixing ki kya jarurat kyunki paudhe ki jadein gehrai mein kahin bhi pahuchke apna poshan dhundh leti hain. Parr, gamle mein jagah aur mitti dono limited hoti hai toh jo aadmi guide karne wala hai usko pata hona chahiye ki mitti kisi vishesh beej ke ankuran ke liye paryaapt nutritious hai yaa nahi. 😊🙏🏼

Ohh accha ji, aap youtube ka help le lo
Bhai dekhe videos. Sab simple process hi batate hain, main pichhle 2 mahine mein I guess 4 baar try kar chuka hoon, Gobhi aur pumpkin sath hi boye the, pumpkin par flowering bhi hogai aur ye germinate tak nahi huye.
Ohh, Mai June me Goan jaunga tab sara process dekh ke bataunga, waha pe log ese bote hai
Ye sach mein helpful hoga bhai.
Waise aap unse puchhoge to aapko pata hona chahiye Main apna potting mix 30% cocopeat, 30% farm soil, 30% gobar compost, aur 10% rait se banata hoon. Aur ye hi same mix seeds ke liye bhi use karta hoon.
Bhai mere Goan me ye mixing nahi chalta waha ka soil kafi upjau hai bas gobar ka khaad daalte hai wo bhi mitti me mix kar ke andaje se. Baki ka bataunga actually phone pe information thik se Goan wale nahi de pate hai, face to face me pata chal payega
Sir gaon mein kisi ke bhi mixing nahi chalta. Jab ugaane ke liye puri jameen ho toh ye mixing ki kya jarurat kyunki paudhe ki jadein gehrai mein kahin bhi pahuchke apna poshan dhundh leti hain. Parr, gamle mein jagah aur mitti dono limited hoti hai toh jo aadmi guide karne wala hai usko pata hona chahiye ki mitti kisi vishesh beej ke ankuran ke liye paryaapt nutritious hai yaa nahi. 😊🙏🏼
germinate kaise hoga....male aur female flower ki mating karao...tabhi hoga....pollinating bees yeh kaam karte hain
aare hume puch lo...hum har tarah ke sabji ugate hain....bhai.....
Bilkul aapse puchenge jab mai veggies ka nplan karunga
sabji uga ke khane me jo maja hai.......kya batayein wo supermarket me kharid me wo hapiness nahi milega.
Ek dam sahin kaha aapne🙏
🙏🙏🙏