shahr kī raat aur maiñ nāshād o nākārā phirūñ
jagmagātī jāgtī saḌkoñ pe āvārā phirūñ
ġhair kī bastī hai kab tak dar-ba-dar maarā phirūñ
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
jhilmilāte qumqumoñ kī raah meñ zanjīr sī
raat ke hāthoñ meñ din kī mohnī tasvīr sī
mere siine par magar rakhī huī shamshīr sī
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
ye rupahlī chhāñv ye ākāsh par tāroñ kā jaal
jaise suufī kā tasavvur jaise āshiq kā ḳhayāl
aah lekin kaun jaane kaun samjhe jī kā haal
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ
phir vo TuuTā ik sitāra phir vo chhūTī phul-jaḌī
jaane kis kī god meñ aa.ī ye motī kī laḌī
huuk sī siine meñ uTThī choT sī dil par paḌī
ai ġham-e-dil kyā karūñ ai vahshat-e-dil kyā karūñ