How can you spend 100 indian rupees all around the world?

in #mgsc6 years ago

Har desh ki currency alag alag hoti hai. Bharat me rupees chalta hai, United states me USD chalta hai, United kingdom me GBP aur Dubai me Diram, Isi prakar se puri duniya me karib 180 prakar ki currencies chalti hai aur har currency ki value ek dusre se alag, kam ya jyada hai.

Indian rupees ki value vaise to U.S doller se kam hai lekin aise kai desh hai jaha bharat ki currency kaafi jyada badi hai, Example ke liye South korea me 1INR= 16 South Korean Won me convert ho jaati hai, vahi Iran ek aisa desh hai jaha pan 100INR ki value approx 62000 Iranian Rial hai.

Duniya ki kai aisi jagah hai jaha par Indians kam paise me bhi amiro ki tarah rah sakte hai. Aur aapko jankar ashcharya hoga ki bharat ke aas-paas kai aise desh hai jinki currency ki value bharat ke mukabale bahot kam hai aur aap vaha bina visa ke jaa bhai sakte hai.

Khane pine ke nazariye se agar dekha jaaye aajkal kuch achha khane ke liye 50 ya 100 rupees kaafi nahi lekin fir bhi pet bharne ke liye 100 rupaye me aap kisi saste bhojnalaya ki kisi swadisth thaali ka anand utha hi sakte hai au raise kai desh hai jaha aap keval 100 rupees kharch karke alag alag tarah ki dishes, pet bharke bhojan aur 5 star hotels ki tarah luxary experience bhi le sakte hai.

Chalo jante hai alag alag desho me 50 se lekar 100 rupaye me khane pine ke liye kya kya kharida jaa sakta hai.

Vietnam:

Agar aap Beer pine ke saukin hai to ye jagah aapko bahut pasand aayegi. Yaha Beer ka daam bharat ke hisaab se sirf 25rs. hai yaani hamare yaha jitna mahenga paani hai utne rupaye me to yaha Beer mil jaati hai. Iske alava 40-50rs me Authentic Spring Roll aur Vietnam li kuch special Dishes jaise ki Banh Xeo aur Bun Cha jaise sea food ka bharpur anand le sakte ho agar aap non-vegetarian hai to.

Mongolia:

Snow Leopard, Ghodi ka dudh aur Genghis Khan ke liye prasiddh desh gumne ke liye ek bahot mazedaar jagah hai. Yaha aap 40-50rs. me Mongolian Buuz (Momos) kha sakte hai aur saath hi yaha ki traditional drink Airag ka bhi anad utha sakte hai. Airag yaha ki sabse jyada pi jaane vaali drink hai jisme 7-8% Alcohol hota hai, Sehat ke liye bahut acchi hoti hai is liye use baccho se lekar buddhe bhi pisakte hai.

Sri Lanka:

Sri Lanka gumne phirne ke liye bahot sasti jagah maani jati hai. Yah 15-25rs. me coconut, 60rs. me Rice & Veg curry, 80rs. me parathe-daal aur fish curry kha sakte hai, aur saath hi 40rs. me yaha ki famous Dish kottu ka bhi maza le sakte hai.

Nepal:

Nepal ke 160 Nepalese Rupees bhata ke 100 rupees ke barabr hote hai. Aap 80-150rs. tak yaha ki famous Daal-Rice thaali kha sakte hai. Yaha milne vaal sabhi khaane ki cheezon ka price lagbhag bharat ke barabar hi hai, lekin saste Uni kapde kharidne ke liye Nepal ek acchi jagah hai.

Tunisia:

North Africa ka ye desh apne culture aur historical places ke liye famous hai. Halaki 1 Tunisian Dinar bharat ke 27 rupees ke barabar hota hai, lekin fir bhi yaha par aap 5-8rs me Bread ka ek packet kharid sakte hai, jo ki bharat me 20-25rs. tak milta hai.

Tehran:

Tehran Iran ka Capital hai. Ye saher apni badi badi buildings aur historical imaraton ke liye famous hai. Bharta ke 10rs. yaha ke 6200 Iranian Rial ke barabar hote hai. Yaha aap 50-60rs. me hukka pi sakte hai, 70rs. me Pizza, 2 hotdog aur 2 plat kabaab kha sakte hai. Yaha par travel karna bhi bahut sasta padta hai, sirf 3-4rs. me aap kahi bhi aa-jaa sakte hai.

Cambodia:

Ye desh apne prachin jagaho aur prakriti ke nazdik vatavaran ke karan puri duniya me famous hai, iss liye yaha par har saal arround 20 lakh tourist gumne aate hai. Yaha par aap agar koi guest house me rukte hai to yaha 1 din rukne ka aapko sirf 60rs. lagega, aur City-centre ke kisi mahenge hotel me bhi aap sirf 80-150rs. tak din ka bhojan kar sakte hai. Yaha par Beer ka daam 30-60rs. tak hai.

Paraguay:

South America ka ye desh bharat ke mukabale kaafi sasta hai. Yaha ke Valerica city ke hotel me stay karne ke liye aapko 1 din ke sirf 200-250rs. tak pay karna padega. 200INR yaha ke 16000 Paraguayan Guarani ke barabar hote hai. 150rs. me aap yaha ek Tandoori Chicken kharid sakte hai aur 100rs me koi acche restaurant me pet bharke kahana bhi kha sakte hai.

To ye the Duniya ke kuch aise desh jaha par aap sirf 100rs ke budget me accha samay bitaane ke sath sath kaafi accha bhojan bhi kar sakte hai.

Image Credit: https://pixabay.com/

Visit My Blog: https://talkcurious.blogspot.com/

Sort:  

Yes.. our currency not just undervalue.
Nice post once again .. well done bro.

thanks bro

Nice Post, It helps to understand the power of our Money....

Yes bro. Our currency is not just under valued.

True...I am planning to shift there and feel like crorepatis...HAHHAHAHHA joking.

yes you can be a millionaire. just go there!

Thanks bro for infomations

welcome bro

Mast post hai bhai. India ka rupees bhi power rakhta hai..

Ha bhai. power karta hai

very nice nad and informative post... i will definitely try it in future

sure! you can try..

Thank you for given information about this place.

Our county realese digital currency i m 100% sure high rate comper to world other currency
Dollar to uske samne fika pad jayega