Gambling(sattebaji) India main legal hogi ki nahi..

in #indiaghambling6 years ago (edited)

Hello friend.. Jaise ki aap sb jnte ho ki ajkl ek khbr media m bhut chal rahi hai.. Vo hai kya sattebaji legalise honi chahiye ki nahi..presently India main sattebaji ek kanoni gunah mana jata hai aur Jo koi sattebaji krte hue pakde jata hai use kanoon saja bhi deta hai.. Sattebaji karte hue pakde Jane main jail aur fine dono lag skte hai.. Lekin agr sattebaji legal ho jayegi to sattebajiyo ko mje aa jayenge kyuki fir vo satta open hi khel skenge bina kisi kanoon ke dar ke.. Dosto sarkar ise legal karne ki isliye bhi soch rhi hai kyuki satta gair kanooni hote hue bhi bhut se log khelte hai aur jinko mostly time govt bhi nhi pkad pati aur vo bhut ache rupey isse kama lete hai aur tax bhi nhi bharte.. Agr satta legal ho gya to govt. Isme tax bhi lgayegi jisse govt ki income bdegi.. Lekin dosto agr satta lgana legal ho gya to aap ye mat sochna ki match fixing etc.. Bhi legal ho jayegi.. Match fixing jaisi cheejo ko abi bhi apradh ki category main rka jayega..
Dosto aap ki kya raye hai isme kya match fixing honi chahiye ki nahi.. Apni raye jarur dijiyega.. Dhanyewaad....
image