You are viewing a single comment's thread from:

RE: Ajwain: No less than a panacea of Ayurvedic Herb!

in HiveGarden6 days ago

Bhai grafted wagerah hote hain, plant to definitely nahi keh sakte unhe kyunki wo kaafi bade hote hain Haan ped jitne bade nahi hote kyunki aap apni ichha anusaar unke size ko control rakhte ho par ek 8-10-12 feet ke plant ko tree kehna hi jyada sahi hoga I guess.
Socha tha hai isme kuch lichi, aam ya amrood type kuch lagaunga.. dekhte hain! :)

Sort:  

Wow!! I think usme bhi high yield wali variety hogi. Jo aam ped meine lagaya tha usse phalne mein 7 saal Lage aur bhai almost 2 stories building se upper gaya tha..
Bhai ped Lagao aur hume bhi sheekao. Zaroor try karenge jab apna time aayega

Bhai abhi ek kamaal ki discovery ki hai.. aapko pata chalega to ek ped aap lagana chahoge uska. Bahut hi khubsurat aur jabardast phal.

Kabhi badaam (almond) ka ped dekha hai? Agar nahi to abhi Google Karo aur search keyword mein almond flowers likhkar bhi search karnaaa. Face pe ek badhiya smile na aate to kehnaa.

Bas ab apne is sabse bade gamle mein wahi lagana hai mujhe 🥰


Image Source Pixabay

Smile to badi wali thi. Meine shyaad iska ped dekha ho purani company ke garden mein. But phool aaj hi dekh raha hun..
Good Luck bhai. Sabse bade pot bhi shayaad chota pad jaye. Kyunki jo ped meine dekha tha wo building ke second floor ko touch kar jaa rahi thi.
JO bhi ho Phool ne dil jeet liya. ❤️ ☮️